Astitva-Ek Sawal
Updated: Jan 12, 2023
By Sudha Kumari
Main kaun hu ye sawal bana
Pehchan mera bawaal bana
Rang roop ki baat nahi
Astitva hi mera alag chuna
Kaun hu main
Main dikhti hu guriya jaisi
Hu pyaari main bitiya jaisi
Main chugti hu chiriya jaisi
Hu bahki main nadiyan jaisi
Main khilti hu kaliyan jaisi
Aur jalti hui jwala jaisi
Hu sehti main duniya jaisi
Par pata nhi ki kya hu main
Hai kya yehi p viswa mera
Koi bataye astitva mera
Mujhe janna hai ki kaun hu main
Main baarish hu ya bitiya hu
Ya kisi kumhaar ki mitiya hu
Hai jisse ye dehgaar bana
Par kya hai ye sawal bana
Ek sawal na jiska jawab bana
Mere liye karagar bana
Ab isme ghut k marr jau
Ya panchi bankar urr jau
Befikri besharmi se
Kya lu alag sansaar bana
Kya lu alag sansaar bana
By Sudha Kumari

Comments