- hashtagkalakar
Apne Jaisi Mai
By Shubha Mishra
Apne me hi apne jaisi hoon main!
Mai aisi hoon ,mai waisi hoon
Sabne kaha ki kaisi hoon main ?
Maine kaha,
Waisi , jaisi ,kaisi bas aisi hi hoon
main
To kaha mujhse jamane ne , “jo
tum ho aisi ,to aisa hota nahi jamane
me’’!
badal le tu khud ko jo rehna hai is
thikane me!
Maine kaha!
, ki maine kiye jatan hain lakhon
ki ,ban jau main waise
“jaise hote hain sab jamane me”
Magar !
Thak gai mai ! har gai mai , toot si gai
main!
Khud ko hi bhool gai mai,
Yahan sabko hasane me , manane
me!
Aur kahun mai kya hal apna ae dil,
Jamana bhi nikla kamjard aisa!
ki jisne , rakhi na baki kasar mujhe
rulane me!
Girna,uthna aur uth kar fir se girna,
Ban gaya jaise muqaddar sa mera !
Fir ek din wo aaya jab ,
Main nikli khud se khud ko milwane
me!
Bahut laga tha waqt nujhe is rooh
uljhi ko suljhane me!
Khud me khud ko dhoond pane
me,behlane ,fuslane na jane kya kya
samjhane me!
Kho jo gai thi mai shayad is berang
bedhang jamane me!
Mili mujhe jo mai ek waqt ke bad ,
To roe hum ji khol kar !
Baithe hum kuchh der sang ,
Gila kiya , kiya shiwa
Kahi suni jo beeti thi is jamane me!
Hatho ko liya hath aur kiya waada
maine khud se
Nahi rakhoongi kasar mai bhi ise
nibhane me
Ki aisi waisi aur chahe kaisi bhi hu
Rahungi waisi hi,
Apne me hi apne jaisi hoon main!
Mai aisi hoon ,mai waisi hoon
Bas ab aisi hi hu main!
By Shubha Mishra