- hashtagkalakar
Aparajita
By Aakansha Mehrotra
Tujhe kya kaid karega koi,
Tujhse hi toh kayanaat hai,
Tu hai aparajita,
Yaad rakhni ye baat hai!!
Jab khone ko sirf pinjra ho
Toh dar kaisa udaan se?
dar ki aankhon mei aankhein daalkar,
udd ja tu shaan se!
Tujhe kya kaid karega koi,
Tujhse hi toh kayanaat hai.
Tu hai aparajita,
Bas yaad rakhni ye baat hai!!
Jab bikne ko sirf chuppi ho,
Toh dar kaisa bazaar se?
Cheen le haq apna chuppi todd kar,
Haq ke farzi theekedaar se!
Tujhe kya kaid karega koi,
Tujhse hi toh kayanaat hai.
Tu hai aparajita,
Bas yaad rakhni ye baat hai
Aur jab badanle ko sirf soch ho,
Toh dar kaisa badlaav se?
Soch ko jhakjhor kar,
Badal’de sach ke hissab se.
Tujhe kya kaid karega koi,
Tujhse hi toh kayanat hai.
Tu hai aparajita,
Bas yaad rakhni ye baat hai! Bas yaad rakhni ye baat hai!!
By Aakansha Mehrotra