- hashtagkalakar
Albela Ikraar
By Sabyasachi Sarma
Na main Mathura ki shaan, na Vridavann ki jaan ho tum
Maana na Keshav na Madhav main
Par Radha jaise meri prem ho tum
Na basuri kabhi bajayi maine, na uski dhunn main kabhi khoyi ho tum
Maana Murlidhar nahi main
Par Radha jaisi hi meri preet ho tum
Magar, hoon aakhir ek insaan hi nahi koi bhagwaan main
Radha bin toh Shri Krishna bhi adhoore
Tumhare bina kya khak hoon main
Na Bhagvad ka koi shlok main, na Krishna ki koi vani tum
Phir bhi ilteja tum hi se yeh
Sirf Radha nahi meri Rukmini bhi ban jana tum.....
By Sabyasachi Sarma