- hashtagkalakar
Agar Paiso Ki Baat Hoti
By Shivani Arora
Agar paiso ki baat Hoti to ghum mit jaata
Logo k saath k liye Dil Na katrata
Paav mei bandhi bedhio Ko hatakar
Kahi duur chale Jana mei na ghabrata
Agar paiso ki baat Hoti to ghum mit jata
Har pal ek chaen ki saans k liye na Marta
Bahar jakar,Bina soch k, Mann yuhi behel jata
Har Baar wahi pal dubara jee Lene Ko chahta
Agar paiso ki baat Hoti to ghum mit jata
Samet Lene Ko saari khushiya,Koi kheech na pata
Befikr,Awara bnne mei bohot maza aata
Bachpan ki yaado se Dil baith na jaata
Agar paiso ki baat Hoti to ghum mit jata
Haath se fisalte waqt mei anjana Darr na hota
Har mod par ek Naya pahad na hota
Dusro ko dekh ke Khushi k siwai kuch na aata
Agar paiso ki baat Hoti to ghum mit bhi jata
Agar bediya Tod pati to bhaag Jane mei Sukoon aata
Har saal naye ehsaas k sath, soch ka dayra na hota
Paise hote hue bhi, bhik maangne mei SAR na jhukata
By Shivani Arora