top of page

Adhure Kadam

Updated: Aug 21

By Shivam Yadav


Jo abhi aadhe adhure hi chale ho

Toh gumaan kis baat ka hai

Abhi abhi toh rakha hai ghar se bahar kadam

Toh abhimaan kis baat ka hai


Abhi toh milon ka safar chalna baaki hai

Jo sar pe tap raha Suraj uska dhalna abhi baaki hai

dharti khod li toh kya hua cheerna abhi woh uncha aasmaan baaki hai

Kabse Thaka haara woh parinda bhare haunsla fir khada hai tere samne dekh

Uss parindey ki bharni unchi abhi woh udaan baaki hai


zindagi ka kya hai kat jaayegi kisi tarah guzar basar karke

maut ko gale lagake jo odhega woh kafan kaamana abhi baaki hai

kisse sambhalna hai aur kaun iss safar me apna saathi hai

apne ussi humsafar ka saath nibhaana abhi baaki hai


Aasmaan me utar ke dekh unn taaron ko gale laga ke dekh

duniya ki jhilmilaati alag hi ek jhaanki hai

saaya tera kabhi peeche toh kabhi tujhse aage nikal jaayega

saaye ko apne aap se haraana abhi baaki hai


chand lamhon ke liye kisi ped ke neeche chaar saathi kya bana liye

tu khudko unka dost batane laga

samay ke saath unhi doston ka muh ferna aur badalna abhi baaki hai

Kaun hai teri manzil aur kya hai tera rasta tujhe abhi maalum nahi

Fir bhi galat iss raaste pe chalte chale jaana abhi baaki hai



By Shivam Yadav



Recent Posts

See All
Mirrored Truth

By Rufaida Manzoor I stood beside the silent lake, With eyes that felt no urge to break. My hair fell low in shadows deep, The waters...

 
 
 
My Antidote

By Anveeksha Reddy You fill my books with your ink, seeping into the pages bright and brilliant  The words etched into the cracks of it,...

 
 
 
Avarice

By Anveeksha Reddy You tear my skin and pick on my bones    I label it as gluttony for you  Churning and shattering the remains of my...

 
 
 

Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
bottom of page