Ab Mein Raaton Ko Jagta Nahin Hun
By Kashif Ehmed
ab mein raaton ko jagta nahin hun
ab mein aangan se aasmaan ko takta nahin hun
kuch tang abhi bhi hu teri vaqii'at ki yaadon se
magar ab bhari raat me khuda se shiqayat karta nahin hun
chahu bhi to kaise laut jau us daur mein
kabhi waqt ka takaza to kabhi zimmedari se ghira hua hun
din kay dhalte hi dil yun sukad sa jata hai
parindo ko ghar laut ta dekh aankhon me aansu le ata hai
sathi hai na kisi shareek-e-gham ki hazri
seene me masail ki teh banaye beitha hun
ab me raaton ko jagta nahin hun
ab me aangan se aasmaan ko takta nahin hun…
By Kashif Ehmed

Comments