Ab Bhi Mumkin Tha
Updated: Nov 29, 2022
By Pathan Samiya Zuber
Ab woh andaz-e-bayan baki na raha hamara
Tum jo itne badle to kuch badal hum me bhi mumkin tha
Hum se khafa hai who apni hi be-rookhi par
Hamara bhi khayaal kar lete to kuch samjhota ab bhi mumkin tha
Ab woh maza, woh apnapan kaha hai hum me
Aisa na kehte to kuch apnapan ab bhi mumkin tha
Nazrein nahi jhukti hamari ab unki aamad par
Kuch woh bhi jhukalete to takalluf ab bhi mumkin tha
Nidamat, shaukat, izzat ki tawaqqo rakhte hai hum se
Thoda bhi agar woh kar lete to hamara farz nibhana ab bhi mumkin tha
Na mohabbat , na nafrat kuch bhi nahi un se ab hum me
Hamare liye zara bhi hota agar to juch mauka ab bhi mumkin tha
By Pathan Samiya Zuber

Comments