top of page

Aashirvaad Ka Swaroop

Updated: Sep 15, 2023

By Vipul Mishra



Raaste khatm hogaye hain,

Saamne dhundh hai,

Aur dhundh ke us paar ek chamakta andhera,

To kya ye laazmi nhi ki,

Mere kadam ke safar yahi tak the,

Logo ki bheed bhi isi disha me tezi se kooch kar rahi hai,

Kya mujhe unki taraf mudkar unhe raaste khatm hone ka yatharth bata dena chahiye?

Ya unki bhi ediyon ko wahi zulm sehne dun jo….?



Bheed bahut zayada hai,

Doori se vo ek ruki hui bhayanak pratima ka aabhas karati hain,

Sankoch matr khada hu, aur shayad kuch der me us dhundh ki or chal kar us chamakte andhere me kho jaane ka bhavishya apne naam kar lun,

Par is vakya se samajh aata hai,

Veerta bhi ek swarthi vritti hoti hai jiske aad me hum laanchhan se bachne ka prayatn krte hain,

Bakwas hai ye, bina tathya ki baatein ghum rahe hain dimag me,

Ab mujhe us chamakte andhere me apni parchayi ka ek chitra banana hai,

Mere is satabdi purani insaaniyat ka rog, chhute nhi chhut-ta,

Ab dhundh mujhme kahi kho gaya hai, aur andhera mera haath pakde raaste paar kara raha hai,

Shayad ise hi aashirvaad kehte hain


By Vipul Mishra



Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
SIGN UP AND STAY UPDATED!

Thanks for submitting!

  • Grey Twitter Icon
  • Grey LinkedIn Icon
  • Grey Facebook Icon

© 2024 by Hashtag Kalakar

bottom of page