Aarzoo
- Hashtag Kalakar
- Jan 6, 2024
- 1 min read
Updated: Feb 8, 2024
By Shahima
Arzoo itni hai bus
Zindagi jeene se koi
Shikhayat na ho
Har lamha bus guzartha Jaye
Jaise badal aasmaan mei chale
Khud ko bhi imtehaan dena ho
Galatiyaan har koi se hoti hai
Par uspar afsoos na ho
Aage badne ka raasta bane
Tooth Jane par phirse
Utt jaane ka hosla ho
Rahe muskil hogi
Muskuratein unhe paar karle
Har maseha ka marham bane
Kisi ke dukh ya dard na raha na bane
Har lamha kuch Naya karne ka arzoo ho
Rab ke saaya hamesha apne saath ho
Kisi ke ehsaan tale na dabe rahe
Khulke saas le sukoon se Bari huwi
Khushi har kadam par dastak de
Chehre ki raunak har waqt qil use
Har taqleef choti lage aur gayab ho
Lehrathi Hawa ki dhun mehsoos ho
Arzoo itni ki bus dil ki
Daastan ban Jaye
Dil ki dua rabb tak pahunch Jaye
Bina koi Lakeeron se jugdi
Bus khushiyoon aur Mohabbat ka
Palna har cheez se upar ho
Zindagi khoobsurat ujaala bane
Hai itni si Arzoo!!
By Shahima

Comments