- hashtagkalakar
Aarzoo
By Ankit Chaudhari
Puri zindagi bit gayi,
tumhe pa lene ki arzoo,
dil me sambhalte hua.
Anginat rate kat gayi,
tumhare aane ke joothe intzaar ko,
hakikat ke rang dhaalte hue.
Saalon se dabi is dil me ek,
anjani si ruthi raat hai baki,
kuch chije hai,
jise kahne ke liye ab,
jasbaat nahi hai baki.
Ek adhura sa wo lamha,
un bite dinon me,
thamb sa gaya hai,
sunehre khwabon ka wo afsana,
parachai ban khudse tut kar,
sunsan raat to me gum sa gaya hai.
Har koi hume pura karne ka,
ek masoom jasba lata hai sang,
par ab jab tak ekele na hon,
tere hone par bhi, tera hona,
ek jootha ahsaas lagta hai,
un bina izajat dekhe khawbon ko,
itafak se bhi,
sawere ki arzoo dene me ab dar lagta hai.
By Ankit Chaudhari