- hashtagkalakar
Aakhiri Baar
By Puja Kumari
Wo aakhiri baar tum baarish mai kab bheege the?
Do paer par kursi hawa mai utha kar, kab dhadam se geere the?
Maa ko pakad kab aakhiri baar jor-jor se roye the,
Daadi-naani ki kahaniyaan sunte-sunte kab tum khoye the?
Mohalle ke ban rahe gharon mai aakhiri baar luka-chhipi kab khela sabne,
Suraj ki aakhon mai aankhein mila, aakhiri baar kab dekha tumne?
Wo aakhiri baar kab jo mann mai aaya, wo bol paaye the tum,
3 rupay ki Parle-G biscuit kharidne aakhiri baar kab gaye the tum?
Ludo mai haar kar, rona kab aaya tha,
Aakhiri baar, rasoi se tumne wo mithai, jo maa ne chhupa rakha tha, wo kab churaya tha?
Garmiyon mai aam khane ki hor kab machayi thi?
Sardiyon ka matlab kab kambal aur sirf rajayi thi?
Gullak mai paisa jama kar ameer ban ne ke khwab kitni baar tute the,
Ladke aur ladkiyon k beech ke antar tab kitne jhute the!
Ghar se niklte wakt dadi ne kab aakhiri baar, “raste m kuch kha lena”, kehkar ek note pakdayi thi,
Bina thake lagatar aakhiri baar kab tumne ghanton dour lagayi thi
Chaand mere sath chalta hai, ye hekri kab doston ko sunayi thi,
Roj geerna aur ek hi jagah chot lagne ko, kab mamooli si ghav batayi thi?
Kisi baat ki parwah kiye bina, kab doosro ka saath diya tha tumne,
Wo aakhiri baar, kab us pal me reh kar us pal ko jiya tha tumne?
By Puja Kumari