Aaj Hum Zakhmo Ki Nahi, Marham Ki Baat Karenge
By Ishika Kachhwaha
Aaj hum zakhmo ki nahi,
Marham ki baat karenge.
Jo beet chuka hai usse bhula kar,
Ranjh se mohabbat churakar,
Aana ki nahi, hal ki baat karenge.
Aaj hum zakhmo ki nahi,
Marham ki baat karenge.
Jo tumne kaha maine suna,
Maine kaha tumne suna,
Sabne kaha humne suna,
Humne kaha kisine na suna -
Sab chorkar, aaj waqt ki baat krenge.
Izhaar, Ilhaam, Inayat aur ilm
Ka waqt ja chuka hai,
Aur zindagi rasta taak rahi hai,
Manzil/manzar chahe jo bhi ho, kya parwah,
Aaj sirf sath safar ki baat krenge
Zakhmo ki nahi, marham ki baat krenge.
By Ishika Kachhwaha

Comments