Aaj Hi Kyu?
By Shraddha Arya
Aaj jo mai yahaan nahi,
Aaj hi mai dikhi hun?
Jab tumhari ek hasi ke liye
Hazaar koshishe ki,
Tab tum kahaan the?
Jab mai roz likh rahi thi,
Tab tum kahaan the?
Jab ghanto intezaar kiya,
Tab tum kahaan the?
Nazrein mila kar dekh paate,
To mujhe saamne paate,
Lekin aaj jo mai yahaan nahi,
Aaj hi mai tumhe dikhi hu,
Socha na tha aisa hoga kabhi,
Par khudko chuna hai mene,
Akele hun, par takat hai mujhme,
Aaj mai isiliye tumhe dikhi hun,
Kyunki aaj mai ek baar,
Phir se khili hun..!!
By Shraddha Arya

Comments