- hashtagkalakar
Aaj Bhi Hai
By Reyyan Muhaffiz
Woh din nikal gaya
Lekin woh manzar ka khayaal
Aaj bhi hai
Woh raat guzar gayi
Lekin unn aawaazon ki aahat
Aaj bhi hai
Woh umar beet gayi
Lekin unn pukaaron ki goonj
Aaj bhi hai
Woh zamana badal gaya
Lekin woh bebasi ka aalam
Aaj bhi hai
Beshak aaj aage badh aaye hum
Lekin wo lachaar rooh ki pukaar
Aaj bhi hai
Bewajah tasalli ka tassavvur karte hain
Kyunki har dhadkan mein
Woh dard ka izhaar
Aaj bhi nahi
By Reyyan Muhaffiz