By Bhavya Jain
Theme= A person has lost his brother in a war , lets see how he pleads him to come back to life although he know its not possible anymore, and how he then shows a glimmer of acceptance in the last.
=yara teri kasam , yara tera karam har pal mujhko batlayegi
ki tu waha gya jahaan ,duayein jaha par jayengi..
yeh aasmaan ek sakshya hai, ki tune humesha pyar kiya,
Yeh asmaan hi hai wo jagah jahaan ko tu humein chhod gya||2||
Ab yeh dard kuchh zyada lage,
Hum keh na sake na seh na sake!!
yara kyu har taraf aur kyu har jagah teri yaadein tadpaati hai,
tu dekhle aur yeh bata kya yaad na humko aati h..
tu ban ek parinda aur wapas aakar humko batla,
ki kyu toda tune humse woh eklota wada..
tera yeh guna teri yeh sazish na marte dam tak bhulenge,
tu yad rakh tujhse ek din yaar hum mil hi jayenge..
ab yeh dard kuchh zyada lage , hum keh na sake na seh na sake..!!
tu kehta tha na bhai mere oo dost mere, ki zindagi abhi toh baaki hai,
tu kehta tha na bina mere teri poori hokar bhi aadhi hai ,
aur log bhi the jinko yar tu kuchh aisi kahani sunata tha,
aur log bhi the jinka din tujhko dekhkar hi kat pata tha||2||
toh tu kyu gya jawaab de ro ro kar pooch rhe hai hum,
ab aakhri mauka hai yeh us ummeed mein jee rhe hai hum,
humein teri kasam na rkhna bharam na marte dam tak bhulenge ,
ab tere jaise bhai ka yeh wada hum nibhayenge…..
By Bhavya Jain
Nice
Good one. 👍
Fantastic 👌
Noice
Fabulous 👀