- hashtagkalakar
Yaad
By Adit Vyas
Iss shaam ki pehel me ek yaad hoothon par aakar hai reh gayi.
Kuch ankahi, ansuni, anokhi si, anutthi si.
Choti si ye baat, zehen me baskar hai reh gayi.
Likh rha hun aaj, kal ye bhi ek yaad hogi,
isse bhi judi ek kahaani, ek baat hogi.
Wohi anutthi si, anokhi si, ansuni, ankahi,
na chahte bhi ek raaz hogi.
Padh isse gustaakh ek khilkhilahat hogi,
mann me ajeeb si, ajnabi si ek aahat hogi.
Phir yuhi kisi shaam dhale,
aese hi ye pedh jhadenge, patton ki phirse bagawat hogi.
chidiyon ki chehchahat mai, hawa ki phir yehi banawat hogi.
aese hi narangi asmaan ke niche,
uss din ye baat bhi ek yaad hogi.
Ankahi, ansuni, anokhi, anutthi, ye razz.
Jiska pata tumko bhi hoga,
jiski khabar mujhko bhi hogi.
By Adit Vyas