- hashtagkalakar
Sabr
By Amir Husain
“Tu sabki aankhon ka noor tha,
Main zindagi ki sham raha.
Tu hadein tod ba-izzat tha,
Main dayre mein bhi badnam raha.
Teri zindagi bhi guzri khushgawar,
Mera to marna bhi haram raha.
Tera zulm bhi masoom tha,
Mera Sabr bhi gunahgaar raha.”
By Amir Husain