Dard
top of page

Dard

By Aman K. Agrawal


Un aankhon me bebasi thi, kuch na kar paane ki,

Aur ek aas bhi thi, sab theek ho jaane ki.

Jaane konse pat.thar se bana tha dil mera,

Jo darka bhi nahi, jab baat aayi us se door jane ki.


Kaash ab wo pal phir aa jaye,

Mai sara jahaan uske kadmo me daal du.

Jab dekhe wo mujhe apne guroor se,

To m ye hasti bhi uske kadmo me daal du.


Jab chaha uska poora karunga main,

To dekhne hai, uske khusi ke aansoo.


Kaash uske jakhm bhi udhar le leta mai,

Magar mai bhi to khudgarz tha.

Pahle na baant saka uska dard mai,

Yaad bhi nahi mujhe kya harz tha.


Ab bhi waqt hai, shayad mere paas,

Warna pahle bhi mera hi ye farz tha.

Jaan dekar bhi na utar paau,

Aisa uska mujh par karz tha.



Jo chahu wo paa lu mai,

Itna kaabil khud ko samjhta hu,

Aasan nahi hoga jana waha,

Jaha mai pahuchna chahta hu.


Bas haar na man lu mai,

Rahoo ki sab takleefo se.

Chahe ladna pade sara jahan se mujhe,

Ya khud ki taqdeero se.


Kaash kuch waqt aur mil jata,

Ye malal na rahe mujhe.

Jab dekhu palat kar wapas khud ko mai,

To khud pe koi sawaal na rahe mujhe.


By Aman K. Agrawal




0 views0 comments

Recent Posts

See All

Maa

By Hemant Kumar बेशक ! वो मेरी ही खातिर टकराती है ज़माने से , सौ ताने सुनती है मैं लाख छुपाऊं , वो चहरे से मेरे सारे दर्द पढती है जब भी उठाती है हाथ दुआओं में , वो माँ मेरी तकदीर को बुनती है, भुला कर 

Love

By Hemant Kumar जब जब इस मोड़ मुडा हूं मैं हर दफा मोहब्बत में टूट कर के जुड़ा हूं मैं शिक़ायत नहीं है जिसने तोड़ा मुझको टुकड़े-टुकड़े किया है शिक़ायत यही है हर टुकड़े में समाया , वो मेरा पिया है सितमग

Pain

By Ankita Sah How's pain? Someone asked me again. " Pain.." I wondered, Being thoughtless for a while... Is actually full of thoughts. An ocean so deep, you do not know if you will resurface. You keep

bottom of page