- hashtagkalakar
Baap
By Saurav Kumar Jha
Main Ac me sapne dekhta hoon wo dhoop me paseena bahata hai,
Ek jyada khilakar khud aadhi roti kam wo khata hai,
Khilone ho ya kitabein bina mange hi mujhe dilata hai,
Hase na ye zamana us par isliye tuti hui chappal me wo taake lagwata hai,
Na sanskaro me kami di usne
Na haram ka khana kabhi sikhata hai
Dur jo jau ghar se akele chhup ke ansu wo bahata hai
Mere bete ne ye kiya mere bete ne wo kiya saare Jahan ko garv se wo sunata hai,
Shayad inhi khubiyo se hi baap wo kehlata hai.
By Saurav Kumar Jha