- hashtagkalakar
Haq
By Ashwini Sharadrao Kasabe
Lehja unka ajkal kuch badla badla sa hai
Alfaaz the wahi jubaan pe
Lekin unme wo ehsaas nhi tha…,
Shayad ye kehne ka
Haq hume nhi tha…
Ankhein unki ajkul kuch alag si lag rahi thi
Noor un aankhon ka beshaq kayam tha
Pata chala baad me ab unke khwabon mein
Humara aana unhe ab munasif nhi lagta…,
Shayad unhe aise dekhne ka
Haq hume nhi tha…
Ladkhadate unhe dekhke socha hath de de
Fir laga unki daastan me humara sath nhi tha,
Ghav pe marham lagane ka dil kiya tha
Par samajh aya hum hi ghumzada hai,
Khushiyan baatne ka housla hume kaha…
Shayad aisa sochne ka
Haq hume nhi tha…
Lagta hai ab yahi humari qismat hai
Wo ek chhor samandar ka aur hum dusra
Saath chalne ki hai ijazat,
Magar milne ka haq nhi…
Magar milne ka haq nhi…!
By Ashwini Sharadrao Kasabe