top of page
  • hashtagkalakar

Kad

By Aman K. Agrawal


Jara sa uncha kya utha tu,

Mai tere samne chhota ho gaya.


Jara si daulat kya kama li tune,

Tere liye aaj ye khoon bhi paani ho gaya.

Khud ko seedhi banakar tujhe uthaya tha maine,

Aur aaj mai tere liye ek kahani ho gya.


Kagaz to kama liye tune,

Lekin aaj tu ek shaksh haar gaya.

Jiske liye mra karta tha tu kabhi,

Aaj usi ko tu undar se maar gaya.


Kaash waha pahuch hi nahi pata tu,

To aaj bhi hum ek sath hote.

Daulat bhale hi kam hoti,

Lekin har gam me ek duje ke sath hote.


Ab to mera har dukh tujh hi se suru hai,

Aur gam tere samne aane se darta hai.

Kis se faisla karwau teri dhokhebazi ka mai,

Tu hi to meri taraf se pairawi karta hai.


Kaash mai bhi apna haalat-e-dil bayan kar sakta,

Lekin shayad ab meri itni aukat nahi.

Kahu mai, aur samjhe tu, tab to, isi se sara bawal h,

Warna to itni bhi badi koi baat nahi.


Ab to mujhe us waqt ka intzar hai,

Jab tujhe meri keemat ka pata chalega.

Us waqt tak haar chuka hoga mujhe tu,

Aur ek yahi gam tujhe har pal khalega.



Ummid to karta hu ki tu phir laut aayega,

Aur aakar mujhe manayega.

Phir pahle jaisi sukoon bhare lamhe honge,

Jisme mai tujhe sataunga aur tu mujhe sataega.


Kahi wapas aane ka waqt guzar na jaaye,

Aur tu us dorahe par atak na jaaye.

Bulayega to tera saath jarror dunga mai,

Tu apna hi hai, tu kahi bhatak na jaaye.


Mat aana mere paas ab lotkar tu,

Kyoki ab mai wapas ummid nahi karna chahta.

Abhi Sab kuch kat raha h jaise taise,

Ab phir se m bhoot me marna nahi chahta.


By Aman K. Agrawal



0 views0 comments

Recent Posts

See All

By Diya Sood To touch a soul. What must it feel like? It seems like some are tainted. Twisted. Tortured. Agonized, even. When does it end? I'm no master. Not a sculptor, most definitely. No Michelange

By Diya Sood Misfit. Bohemian. Who art thou fleeing away from? Everything is dreary But aren't you on your way to glory? Haven't you got some time to spare? Growing older every day. Children shouldn't

By Diya Sood Exulansis– the tendency to give up trying to talk about an experience; mostly because the folk are unable to relate to it. What must have felt of Icarus who If, had only waited enough, Fo

bottom of page