top of page
  • hashtagkalakar

Me Kaun Hu?

By Pakshal Jain


Mein kaun hu?

Kya mein sirf ek mittee ka putla hu.., ya mein abhi-abhi janma ek chota sa baccha hu joh thik se chal ya bol nhi sakta?

Kya mein woh badnaseeb hu joh chup reh kar bhi fass jata hai, aur kuch na karne par bhi saza pata hai.., ya mein woh hu joh kisi kaam ke layak nhi?

Kya mein woh gumnaam hu joh andhero mein akela rehta hai.., ya mein woh hu joh apne mann ki baat kisi aur se nhi kehe sakta?

Kya mein koi boodha hu jisko har wakt kisi na kisi ke sahare ki zarurat hai.., ya mein woh hu joh kabhi apne aap ko akela nhi dekh sakta?

Kya mein ek patthar ka tukda hu.., ya lohe ka jism joh garam karne par hi pighal ta hai?

Kya mein maum sa komal hu.., ya dusro ke dard bhapta aayna?

Kya mein woh joker hu, joh hamesha bewakoofiya karta hai.., ya mein woh hu joh chahata h ki usske kareeb rehene wala har insaan hasta rahe?

Nahi.... Nahi…. Nahi…. Nahi….




Mein koi joker nhi, fankaar hu;

Mein koi maum sa komal nhi, bin bataye logo ke dard samajne wala samajdaar hu;

Mein koi patthar ka tukda nhi, apne dard ko chupane wala kalakar hu;

Mein koi boodha nhi, logo ko sikhane wala tajurbekar (experienced) hu;

Mein koi gumnaam nhi, logo ki pehechaan hu;

Mein badnaseeb nhi, mashahoor hu;

Mein mittee ka putla nhi ek jaan hu,

Apne mata - pitah ka abhimaan hu;

Jhala do ya dafna do, mein mar nhi sakta! Kyuki, char diwaaro ke bich nahi, logo ke dil meh reheta hu.., isliye mein apne aap ko amar keheta hu......


By Pakshal Jain





1 view0 comments

Recent Posts

See All

By Davy Varghese Cheriyan From the land of frankincense With a stench of rotting souls I am here to sing my tale of woe With a cheerless lip of mine Mind full of rust and brain so numb Past of mine wa

By Koomudi Agarwal Some strangers unexpectedly become a huge part of our life With a package of love, memories and fun in rife A pure and strong bond of friends like family, Being a co-passenger on th

By Hrushikesh Takalkar कविता केल्याने काय होतं? प्रेमात पडलाय की काय.. असं वाटतं? का प्रेमभंग झालाय असं दिसतं? कविता केल्याने काय होतं? मन आपलं कागदावर उतरतं? का कागदांवरच्या शब्दात अर्थ शोधतं? कविता

bottom of page