top of page

Main Aurat Hu Mujhe Bas Aurat Hi Samajhna

By Ruchika Khandelwal


Meri chuppi ko meri kami na samajhna,

Udne ki khwaish rakhti hu,

Mujhe pari na samajhna

Kuch galat karne par tumhe rondne ka junoon rakhti hu,

Mujhe jallad na samajhna

Main aurat hu, mujhe bas

Aurat hi samajhna


Jo kisi ummeedon se kam baat ko sunkar aansu jhalkaye

Main woh faulaad hu

Jo usi kahani mein nayi ummeede jagane ka jazba dikhaye main woh jabaaz hu


Main hasti hu hasati hu,

Apne gum ko kabhi uss haste chehre ke piche chupati hu

Apno ko udaas dekh unki udasi ko itna satati hu

Ki unka hasna apni kamyabi hi samajh jaati hu





Khud ke liye maine kabhi jeena nahi seekha,

Sab usko meri aadat samajh bethe

Khud ki marzi se maine kabhi chalna nahi seekha,

Sab khud ko meri manzoori samajh bethe

Jab tak maine sabko samjhana nahi seekha,

Ye sab toh mujhe nasamajh samajh bethe

Aur jab tak maine apna zor chalana nahi seekha,

Ye sab toh mujhe kamzor hi samajh bethe


Par ab,

Ye mera dharam nahi kehta ye jaanti hu

Bina sahare ki iss badi mein

Safar karna main jaanti hu

Mujhe nicha dikhane waalo ke liye

Ek kraanti hu

Mujhe pichda samajhne waalo ke liye

Main ashaanti hu


Badla lena meri fitrat nahi

Par apne gunhegaaron ki toh ab,

Main bhang hone waali shaanti hu


Ab har kisse mein meri baat hogi

Ab har hisse mein meri baat hogi

Main aaj ki aurat hu apna abhimaan saath lekar chalna jaanti hu


Sabko sammaan dena aur lena

Iss baar dono hi jaanti hu


By Ruchika Khandelwal





1 view0 comments

Recent Posts

See All

Ishq

By Hemant Kumar koi chingari thi us nazar me , ham nazar se nazar mila baithe faqat dil hi nahi , daman o dar jala baithe ta umr jala (hu) fir jalte jalte khaakh hua muhabbat raakh na hui me hi raakh

जब भी तेरी याद आएगी

By Divyani Singh जब भी तेरी याद या आएगी ना चाहते हुए भी... तेरे साथ न होने की कमी हमें रुआंसा कर जाएगी हंसते हुए होठों पर उदासी को लाएगी खुशी से सुर्ख आंखों में भी तेरी याद की प्यारी नामी दे जाएगी । ज

Maa

By Divyani Singh Zindagi ek khubsurat kissa hain .. Bin maa k adhura hissa hain... Maa jo pyaar sae Sula dey maa jo pyaar sae utha dey ...gam bhi agar kuch hain to maa ka sath ..khushi mein bhi kuch h

bottom of page