- hashtagkalakar
30 Feb
By Ritik Koul
Likhu ab kya likhnay ko baccha kya,
main jitna bhi likhu hr baar lagge likha kya.
Socho kitna bee bhale tere baare,
Par insaan he hai dil lalach say nah kabhi barra gaa.
Shamo main jo nah saamne tu
saalo se lage mujhe phir har pal,
Tere intazar main jalla duu yaado ki mombatti
phir katro say moom mere ankho say pigal gya.
Main woh shayar jiski khushi ki aage laga hai khud,
Main woh haath jiski kismat ka aaga likha hai badh,
Main woh gaana jiska aaga khada hua bay,
Main woh naam jiske aaga gaddha hua gum.
Sanso se Sanse thotti jab tere baare mein bola
aaine ko maine sach,
Han woh sach hai ki thoodh diya usse koi jaane ga nah tujhe mujhse bhatar aab.
Jo bhi baatein thee baate hee rah gye,
Tere awaaz khayalon main rah gye,
Sunne wala tha bas ek par lagta hai,
Pooja main namaze kaam rah gyee.
Soya hua kon jaaga hua kon,
Sawal hai sab par Jawab hain kon,
Sunne wale toh hai Tees(30) february par
Sunne wale aye yaha needh main bee roz ab.
Hai woh sapnay he kya jo nah baade hoo,
Hai woh apnay he kya jo nah laade ho,
Hai woh zindagi hi kya jisme chehre pay hasi aur ander baara gum nah hoo.
Aasaman main dekho dur - dur tak gaharie,
Mehtab kee be chuur - chuur angadie,
iss jahan ka toh raaz he yahe hai
jaasa mann ho wasaa hee phir daata dekhiye.
Waffa ki aankhon mein toh khali arman hai,
Madad ka naam pay loog kartay ehsaan hai,
Mujhe chood ka challe gye hai mere rooh
bole pasand mujhko nah mera insaan hai.
By Ritik Koul