By Shivam Yadav
aaj ek chehra iss qadar meri nazron ke samne se guzar gya
ki seedha jaake mere zehn me kuch iss tarah se utar gya
uske dil ka haal bhi uski aankhon se saaf saaf dikh rha tha
bina puche mera dil uska naam khudpe baar baar likh rha tha
bas ab kal ki subah ka intezaar nhi ho rha hai
kal subah bas usse firse dekhne ka mann sa ho rha hai
soch raha hun ki kal tumse apne dil ka haal baya kar hi dun
kal tumhe bata hi dun ki main tumhe kitna chahne laga hun
nayi nayi baatein aur
naye naye sapne bunne laga hun
din ke har ek lamhe se
tere sath guzarne wale pal hi chunne laga hun
bas ab jaldi se ho jaaye kal ki subah
aur tum mujhe fir se dikho
apni saheli se kuch baatein karke
tum khoob hasso
tumhari hassi dekhke main pta nhi kahan kho jaata hun
aajkal yehi sab sochte sochte na jaane kab so jaata hun
lag rha kal ki subah kuch bahut alag si hogi
subah tumhe sab bata dunga aur sham me tum meri baahon me hogi
fir uske baad tera hasna tera rona sab mujhse hi juda hoga
jaise maano tera dupatta har baar mere liye hi uda hoga
main koshish karunga tumhari zindagi se saare gham mitaane ki
tum mujhe ijazat toh do meri zindagi tum par lutaane ki
main haste haste tum par sab kuch vaar dunga
tumne socha bhi nhi hoga tumhe itna pyaar dunga
teri aankh se aansu kabhi koi main tapakne na dunga
palkein bichake rakhunga tere liye inhe kabhi jhapakne na dunga
duniya ki har khushi tere naseeb me likh dunga
tere mangne se pehle hi sab kuch tere hath me rakh dunga
par fir tum mujhe kabhi chhod ke mat jaana
mera dil bahut naajuk sa hai isse todd ke mat jaana
mujhe chhodne ka kabhi tumhe khayaal aaye toh uss khayal ko chhod dena
mere dil ka jo hissa tumhare paas hai usse apne dil se jod dena
mujhe chhod ke toh chale jaaoge par mera dil kahan jaayega
bhala mujhse bhi behtar tumhe aur kaun chahega
raat kaafi ho gyi thi aur andhera ho gya
dekhte hi dekhte sochte hi sochte na jaane kab sawera ho gya
main wahin khada hun jahan tu mujhe roz dekhti hai
mujhe ek baar dekhke fir apni nazar fer leti hai
main bas isse tera sharmana samjh leta hun
tera izhaar hi tera muskurana samjh leta hun
tujhse kabhi baat bhi nhi huyi
par fir bhi tujhse itni baatein kar leta hun
din bhar to tu samne rehti hi hai
tere sath hi mehsus apni raatein kar leta hun
par ab lagta hai ki tujhse duri bana lena hi humare liye theek hoga
na main tujhse dur ho paunga aur na tu mere kabhi nazdeek hoga
pyaar yeh bhi ek tarah ka kaafi khaas hai
jahan tere milne ka nhi bas tujhe dekh paane ka ehsaas hai
dekhne ka hi sahi magar ehsaas bada pyaara hai
tum maano koi kashti ho aur mera dil koi ek kinaara hai
kashti ko wapas kinaare se ab jaana hoga
kinaare ko bhi kashti ka pyaar ab bhulana hoga
aise hi agar chalta raha toh yeh chalta rahega kab tak
samandar se hi ugke suraj samandar me hi dhalta rahega kab atk
kabhi toh koi ek aisi subah hogi
jab yeh kashti iss kinaare se juda hogi
pta nhi kya hoga jab yeh dil teri yaadein nikal ke fekega
na jaane kaisa hoga woh manzar jab tujhe khudse durr jaate dekhega
nhi ho paayega mujhse teri yaad mujhe bahut satayegi
Bas teri raah dekhta reh jaaunga meri kashti kab dobaara waapas aayegi
By Shivam Yadav
🔥✨
nice
virtuous
awesome man! 🔥🔥
👏👏👏👏