Kaash
By Kunal Sood
Kaash paisa itna zaroori na hota
Paisa ik majboori na hota
2 meethi baatein kisi apne se pate bhar deti
Chaaya ped ki aankho mein neend bhar deti
Kaash zaroori na hota zimmedari nibhana
Aur fir ye soyi duniye ke sath so jana
Ujala he ujala aur bheetar ka kya
Aankhe band he rakhni hai toh iss deepak ka kya
Kisi oor chale jaane ka jee chahta hai
Ye duniya nahi koi mera thikana
Jalna nahi..iss loh ki garmi to mehsoos kar
Marna nahi par har roz marne ko mehsoos kar
Yehi kuch mijaaz hai mere hone ka iss duniya mein..
Hone na-hone se waqt rukega nahi
Khayalat jaise bhi ho ye waqt rukega nahi
Nahi hongi kabhi khatm ye zimmedariyan
Kuch rahe na rahe bas rahe pashemaniyan
Kab raat mein jugnu dikhe kaash humein yaad hota
Chaand se kari guftagoo ka nasha hume yaad hota
Hoti in kavitao ki ehmiyat he kuch aur
Bas ye baimaan paisa itna zaroori na hota
By Kunal Sood

Comments