Ghadi ki Bewafai
By Diya Biswal
Bewafa hai ghadi,
Thahar bhi jaaye, toh sataye.
Waadon ka kya,
Jo kal toot jaaye,
woh aaj bhi fareb hai.
Hansi bhi ab muskuraye nahi,
Kahin kho gayi, us puraane shor mein.
Yaadein? Rehne do…
Wahin.
Ghayal kar betha hu,
Shareer apna.
Bharosa nahi khud par ab,
Bas itna pata…
Lamha dagha de gaya.
Dil thak gaya hai,
Intezaar karte karte,
Shaadmani ki ijaazat bhi nahi…
Gham se bhi koi rishta nahi.
Jeena ya marna?
Kya hai sahi?
Waqt poochhta hai sawaal,
Aur jawaab main chhod aaya hoon kahin.
Iss pal ka bharosa nahi,
Bewafa hai yeh ghadi,
Aur main…
Bas chup hi sahi.
By Diya Biswal

Comments