Aansu
By Kunal Sood
Rote hai ye baadal kya jab
barse megha ambar se?
Kya dukh inhe satata hai
jo samajh humme nahi aata hai
Kabhi ghanne kabhi ek akela…
Kabhi akela barse behad kathor
Kabhi jamghat mein bhi na barse
Aur kabhi bas thandak laate hai
Kya zinda hai jo nazar aate hai?
Kya manzil hai koi inki khwaish?
Ya bas hawa sang chale jaate hai?
Kabhi shaant sannata kar..
kabhi bijli ban chillate hai..
Kabhi mandraate hai kayi din
Kabhi paloo mein gumm jaate hai
Peeche chor adhoori kahani
Kahi aur baras aate hai
Yeh baadal sirf asmaan mein nahi..
Ye baadal nizam-e-qudrat toh
Hai kudrat humare andar bhi
Mijaaz inka bhi kuch vaisa he
Jaisa bahar tha vaisa andar bhi
Khyaalo ka ik kaafila sa
Ya sirf ek khayaal satata hai
Kuch hai toh usse khone ka
Kuch nahi toh usse paane ka
Khayaal ki ye mere sath he kyu?
Badgumaani kisi ki firozii par
Jab pate bhar ho daana paani
Par neend rahi gumnaam kahani
Jeevan saral par khayaalo mein jung
Jung khudi se khudi ke sang
Tha bas ik sabr jo toot raha
Jawaab nirarthak jo dhoond raha
Ik leher si jism se uthti hai
Banke aansu palak par meri aankh mein utarti hai
Ye rittu koi pehli daffa nahi
Bas fark ek he cheez ka
Kabhi barse hai aur kabhi barse nahi
Ye aansu
By Kunal Sood

Comments