By Sidhik
Vo hona chahta tha tera
Vo tere sath rehna chahta tha
Vo to tujhe apna maan betha tha
Vo to tujhe bohot pyar karta tha
Usne to sab kuch kurban kar diya tere khatir Vo to bas tujhme kho sa jana chahta tha Vo to marne ko bhi tyar tha
Bas tujhe apna banana chahta tha
Nadan tha samjh nahi paya
Ki kaise chalta hai yeh pyar aaj kal Nadan tha,
Rok nahi paya khud ko
Tera hone se
Nadan tha,
Jo samjha ki tune usse thori baaten kya krli Vo tere karib aagya
Nadan tha,
Jo samjha ki baaton se pyar hota hai Nadan tha,
Jo samjha ki kiye gaye waden nibhaye jate hai Nadan tha,
Jo samjha ki tum lot ke wapis aaoge
Tumne ek wada kya kiya meri jaan
Yeh dil to abhi bhi us wade ka gulam bana betha hai Kehta hai tum aaoge
Kehta hai jab aaoge to sath mai bhot samay laoge Kehta hai jab aaoge to pher kabhi dur nahi jaoge Nadan hai samjhta hai
Pyar asli hota hai
Nadan hai samjhta hai
Waden pure hote hai
Nadan hai samjhta hai
Waden nibhaye bhi jate hai
Nadan hai samjhta hai
Pyar kuch hota bhi hai
Nadan hai samjhta hai
Vo uska hai
Isse kya pata uske karib to vo ho hai
Jis se vo ruth ke isse baaten kara karti thi Karib to vo hai
Jis se ladke idhr pher frustration nikala karti thi Karib to vo hai
Jisse vo apna manti thi
Karib to vo hai
Jisse vo sab btati thi
Or dur to tum ho jisse vo bas ek dost manti thi Or dur to tum ho jisse vo bas ek anjaan manti thi
By Sidhik
Comments